Aaj Rukhsat Ho Rahi Hai Tumse Zehra Ya Ali LyricsAaj Rukhsat Ho Rahi Hai Tumse Zehra Ya Ali Lyrics

Aaj Rukhsat Ho Rahi Hai Tumse Zehra Ya Ali Lyrics. Main words are Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra (sa) ya Ali (as) Kya kahun dil main khayal aate hain kya kya ya Ali.

Aaj Rukhsat Ho Rahi Hai Tumse Zehra Ya Ali Lyrics

Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra (sa) ya Ali (as)
Kya kahun dil main khayal aate hain kya kya ya Ali (as)

Han madine walon ko tha mera rona na gawar
Aaj se hoga na in logon ko shikwa ya Ali (as)

Dushmano ko tum ne aane dena meri lash par
Pardaye shab main meri mayyat uthana ya ali (as)

Baad mere jane kya ho haal bachchon ka mere
In ko eaza ho to hogi mujh ko eaza ya Ali (as)

Faqe kar kay aafaton se main ne pala hai inhen
Tum khayal inka meri khatir se rakhna ya ali (as)

Jante hain aap yeh nazon ka pala hai Hussain (as)
Woh agar roye dilasa usko dena ya Ali (as)

Tum ko zahmat ho gi lekin meri taskee’n kay liye
Meri turbat par mere bachchon ko lana ya Ali (as)

Rah gaye apna kaleja tham kar maula SAEED
Boli Zahra (sa) jab khuda hafiz tumhara ya Ali (as)

Pehlu Bhi Shikasta Hai Lyrics

Follow me on Blogarama

By Admin